Ab Jis K Jee Me Aye Wohi Roshni Paye

Ab Jis K Jee Me Aye Wohi Roshni Paye
Humne To Dil Jala K Sar-e-Aam Rakh Diya...

Ab Jis K

Yad Kar K Tere Loat Aney K Wadon Ki Ghari

Yad Kar K Tere Loat Aney K Wadon Ki Ghari
Khud Ko Ik Masoom Bachy Ki Tarha Behlaun Main...

Yad Kar K
Jab Wafa Par Hogi Koi Bat To Main Yad Aunga

Jab Wafa Par Hogi Koi Bat To Main Yad Aunga

Jab Wafa Par Hogi Koi Bat, To Main Yad Aunga
Na Bhaye Gi Tujhe Jab Kainat, To Main Yad Aunga

Abhi Din-E-Roshan Ki Shokhiyon Se Tu Mayal Hai
Jab Chaye Gi Andheri Raat, To Main Yad Aunga

Abhi Bahar Hai, Chaon Hai, Gham-E-Zindagi Ki Dhoop Nahi
Tham Jaye Gi Jab Ye Barsat, To Main Yad Aunga

Ye Wo Duniya Hai Jis Ne Kisi Ko Kuch Na Diya
Tanha Hogi Jab Teri Zaat, To Main Yad Aunga

Tu Mujhe Bhoola Hai Roshan Waqt Main To Ye Bhi Sun
Tang Hogi Jab Tujh Par Hayaat, To Main Yad Aunga

Ubhre Hain Naye Jazbat Tere Dil Main Zara Theher Abhi
Tujh Se Uljhain Ge Jab Tere Jazbat, To Main Yad Aunga

Mere Shair, Quran-E-Wafa Ki Ayaat Hain 'Khurram'
Parhe Ga Zamana Jab Ye Ayaat, To Main Yad Aunga...

Submitted By: Khurram Kazmi

Jee Chahta Hai Band Kar Doon Ab Ye Shayari Likhna

Jee Chahta Hai Band Kar Doon Ab Ye Shayari Likhna
Dil Mera Toota Hai Dard Ap Sab Ko De Raha Hun...

Jee Chahta Hai

Khainch Layi Hai Yahan Lazat-e-Aazar Mujhe

Khainch Layi Hai Yahan Lazat-e-Aazar Mujhe
Jahan Pani Na Miley Aj Wahan Maar Mujhy...

Khainch Layi Hai

Ye Soch K Maan Letey Hain Teri Har Bat

Ye Soch K Maan Letey Hain Teri Har Bat
Muhabbat Me Sawalat Ki Gunjaish Nahi Hoti...

Ye Soch K

Ankh Kambakht Se Is Bazam Me Ansu Na Ruka

Ankh Kambakht Se Is Bazam Me Ansu Na Ruka
Aik Qatrey Ne Daboya Mujhe Darya Ho Kar...

Ankh Kambakht Se

Samandar Me Fana Hona To Qismat Ki Kahani Hai

Samandar Me Fana Hona To Qismat Ki Kahani Hai
Jo Marty Hain Kinaron Par Mujhe Dukh Un Par Hota Hai...

Samandar Me Fana

Toot Sa Gya Hai Mere Aitbar Ka Wajood

Toot Sa Gya Hai Mere Aitbar Ka Wajood
Ab Koi Mukhlis Bhi Ho To Yakeen Nahi Ata...

Toot Sa Gya

Aese Utra Hun Kisi Zakham Ki Gehrayi Me

Aese Utra Hun Kisi Zakham Ki Gehrayi Me
Main Tera Sog Manany Se Bhi Khush Rehta Hun...

Aese Utra Hun

Khud Ko Khoya To Ye Bat Kahan Thi Maloom

Khud Ko Khoya To Ye Bat Kahan Thi Maloom
Parh Bhi Sakti Hai Kabhi Apni Zarurat Mujko...

Khud Ko Khoya

Bari Ajeeb Hai Nadan Dil Ki Khawahish Ya Rab

Bari Ajeeb Hai Nadan Dil Ki Khawahish Ya Rab
Amal Kuch Nahi Or Dil Talabgar Hai Jannat Ka...

Bari Ajeeb Hai

Lafzon Ki Aabru Ko Gawayen Na Yoon Janab

Lafzon Ki Aabru Ko Gawayen Na Yoon Janab
Jo Milta Nahi Usey Kehna Fazool Hai...

Lafzon Ki Aabru

Kashti Bhi Dolti Thi Kinara Bhi Door Tha

Kashti Bhi Dolti Thi Kinara Bhi Door Tha
To Kar Li Ghabra K Isi Toofan Se Dosti...

Kashti Bhi Dolti

Main Wo Majnu Hun Agar Ishq Ka Naara Marun

Main Wo Majnu Hun Agar Ishq Ka Naara Marun
Thokrein Khati Hui Qabar Se Laila Nikly...

Main Wo Majnu